| By : Shambhu Nath ( Posted on :29 Feb, 2008 ) | Total Views : 265 | Previous | Next |
DOHA- JAI JAI JAGDAMBE KAA ROOP/
LAAJ RAKHIYA JAGAT KEE AAYE KOI NAA BHOOP//
Jai jai mayaa maharaanee, tumahree kirpaa na jaay bakhaanee,
Tumhraa naam jape harijam saraa, tum unakee ho taaran haaraa,
Sab tumhree hai karay badai , tum unakee ho kaalee mai,
Tum gungan kee kariw khichai, apraadhin kaa jail pathai,
Jo tumhse hai karay ladai, unko jail diyo pahuchai,
Unch neech jas gunde saare, tum unako kinho pichwaare,
Jitanee rahee fauz dhan saaraa, tum unako sab deen bigaadaa,
Unakee ijjat maatee me kinhaa, unase chheen talaab bhee linhaa,
Pahale jo the atayachaaree, unakee aay gayee balihaaree,
Ab un sab na karay larai, sabse rakhay mail milayee.
Aise rajya chalay kaa chahee, phir jantaa kaa chintaa nahee,
Hamrav ek vinay hai maayaa , hamre uppar kardo daayaa,
Diyo kahi par noukaree dilayee, tumharo gun jiwan bhar gayee,
Tum jantaa kaya karaw bhalayee, sabse rakho mail meelayee,
Tumharee kursee phir ja na paye , sabkee jamanat jabt hoi jaye,
Sada karo jantaa ki sewaa , sab kaa milay dudh awa mewaa,
Dohaa- jai jai mayawati sadaa karo kalyaan ,
u.p kee jantaa kaa Rakhanaa hardam, dhayaan,
Written By : Shambhu Nath