| By : Shambhu Nath ( Posted on :08 Mar, 2008 ) | Total Views : 164 | Previous | Next |
Doha: Garibo ka jag me gujara nahi hai
Prabhu ke bina kuchh sahara nahi hai
Dunia me bhagwan ne sab kuchh banaya
Par diya gam kisi ko kisi ko hasaya
Ek aurat ki suno dasta sachchi kehta
Pati jinda raha bimar wah hardam rehta
Pati ki bimari me wah dhan our daulat bechi
Sara jewar suno samman malkiyat bechi
Ek din raat me pati kaha bula karke
Thanda pani to lao kahi se ab ja karke
Nari pani ko gayi pati ne dam tod diya
Aaj dunia se suno nata baba tor diya
Nari jab aayi jivit pati nahi paya hai
Ro kar aawaj tabhi prabhu ko sunaya hai
Kiske gale se bhagwan mujhako lagaya hai
Akeli lash liye pati ko jalane chal di
Dhadhakati jwala apane dil ki bujhane chal di
Pahuchi jab ghat upar chita jyo rachati hai
Apane haatho swayam pati ko jalati hai
Sham ka vakt tha chita lagi bhabhakane
Ek sadhu aaya fir laga wahi tadapane
Sadhu baba ne kaha suna ghat mera hai
Lash hata le fauran hamara dera hai
Kiske kehne se yaha chita ko rachayi hai
Suno nari fir ro ro karke yahi sunayi hai
Pati ke sath se yaha chita ko rachaya
Nari fir ro kar kaha lash na uthaugi
Bina jalaye huye pati ko nahi jaugi
Sadu baba ne kaha jal ko badha dunga tab
Nari ro kar kaha hantho par jala lungi tab
Sadhu baba ne suno jal ko jab badhaya hai
Jalati huyi lash nari haath pe uthaya hai
Kehte kavi hai ye bhagwan ki maya
Par diya gam kisi ko our kisi ko hasaya
Dunia me bhagwan ne sab kuchh banaya
Par diya gam kisi ko our kisi ko hasaya
Written By : Shambhu Nath