| By : Ravnish Chand Dayal ( Posted on :22 May, 2009 ) | Total Views : 479 | Previous | Next |
Aa gai yaad ik purani kavita
Kisi ke Madhosh nayan
Aur aa gai yaad uun nayano ki chanchalta
Ha aa gai yaad ik purani kavita
Kisi ka pari sa roop,
Aur aa gai yaad us roop ki sundarta
Ha aa gai yaad ik purani kavita
Kisi ka pyara sa mann
Aur aa gai yaad us mann ki nirmalta
Ha aa gai yaad ik purani kavita
Kisi ka phoolo sa sharir
Aur aa gai yaad us sharir ki komalta
Ha aa gai yaad ik purani kavita
Written By : Ravnish Chand Dayal