| By : Vibha Handa ( Posted on :28 Aug, 2009 ) | Total Views : 156 | Previous | Next |
tod diya hai mujhe
apekshayon ne,
bikher diya-
akanshaon ne.
faand jana chaahti hoon
diwaar apekshayon ki,
aur laandh kar
seema kartavyon ki.
aaj simat jana
chahti hoon-
adhikaaron ke gharoundo mein.
Kintu-
jude hain kuch jeewan
mere kartavyon se,
aur'
nirbhar hain - mujhse
ki jaane wali apekshayon per,
nahin round sakati,
jeewan jo mujh per nirbhar hain!
kho chuka hai mera astitv,
apekshayon aur' akankshayon mein,
apekshayon ne tod diya
aur' bikher diya-kartavyon ne.
laangh jana chaahti hoon-
kartavyon ki seema,
faand kar deewar-
apekshayon ki-
chup jana chaahti hoon,
adhikaaron ke gharoundon mein,
Parantu-
choti hai bahut meri udaan,
aur dheemi hai chaal,
ulajh kar apekshayon au'
kartavyon ke chakravyooh mein,
kho chuki apne-
vivek ko!
rati ke aagosh mein simatkar,
Ravi ko pana chahti hoon
kartavyon ki seema laanghkar
adhikaaron ko apnana
chaahti hoon main.
Written By : Vibha Handa