| By : Neeraj Yadav ( Posted on :12 Oct, 2009 ) | Total Views : 158 | Previous | Next |
Kya hai ye pyar kon janta hai
kon hai is ko jo pahachanta hai
kabhi tanhaiyon se ladta hua
kabhi parchyi ban jism se judta hua
kya hai ye pyar kon janta hai
koi batlaye ki ye saath chod deta hai kyun
koi batlaye ye un aas chod deta hai kyun
koi batlaye ye ankhon se kyun gir jaata hai
koi batlaye kyun ye dard ban jud jaata hai
kya hai ye pyar kon jaanta hai.
Main aksar khojta hun is ko us insaan main
Wo jo mere pahale pyar ki pahachan hai
Mene chahatha jisko usko main kabhi paa na saka
Or us ka chehara kabhi ankhon se kabhi jaa na saka
Kya hai ye pyar kon janta hai.
Main bhool jaata gar wo jindgi na hota
Main bhool jaata gar wo har khushi na hota
Bhool jaata use gar wo sapno ke jesa hota
Magar kya hai ye pyar kon janta hai
Kon hai is ko jo pahachanta hai
Written By : Neeraj Yadav