| Welcome To Fun@Abdul Raheem.com |
| My Home >> Fun & Info >> Shayari |
Aey door nagar ke banjaaray gar chodd ke aisay jaana thaa,
Kyon chah ki raah dikhani thi? Kyon pyaar ka haath batana thaa. Hai duniya ke hangamon mein rangini bhi,ranai bhi, Har cheez yahan par pyaari hai,mehroomi bhi,ruswai bhi. Sab log yahan par qismat ke beytod thapedey sehtay hain, Par jeetay hain or jeene ki ik aas se chimtay rehtay hain. Aur tu to ik khiladi thaa, Kyon khel hi sey moonh mod liya, Kyon jaan ki baazi haar gaya? Kyon umar ka rishta tod liya? Go janay ke mushtaq yahan hum jesay lakh bichaday hoon, Wo log hi rukhsat hotay hain jo sab ko pyaery hon! Is jag ki raat andheri mein, ik tara tha woh doob gaya, Aur waday saath nibhanay ke sab bhool bhula kar khoob gaya. Aa mehfil chup chup bethi hai,mehfil ka dil shaad karain, Wo log ke teray aashiq hain kay roz sey tujhey yaad karein. Wo thor thikanay dhond chukkay, woh manzil manzil choo aaye, Ab aas lagaye bethay hain kab dastak ho,kab tu aaye!
|
| Register Now to create your personal Website | Disclaimer Personal Pages by : www.whereincity.com |