| Welcome To Fun@Abdul Raheem.com |
| My Home >> Fun & Info >> Shayari |
Zindagi ke melay mein,
Khuwahishon ke relay mein, Tum sey kya kahein janan,iss qadar jhameelay mein! Waqt ki rawani hai, Bakht ki girani hai, Sakht bey zameeni hai, Zakht lamakani hai. Hijr ke samandar mein, Takht or takhtay ki ek hi kahani hai. Tum ko jo sunani hai, Baat go zara si hai, Baat Umar bhar ki hai(umar bhar ki batain kab do ghadi mein hoti hain?). Dard ke samandar mein, Ann-ginat jazeray hain, Beyshumaar moti hain. Aankh ke dareechay mein, Jo tum ne sajaya thaa, Baat uss diye ki hai, Baat uss gillay ki hai. Jo lahoo ki khalwat mein chor ban kar aata hai, Lafz ki faseelon par toot jata hai. Zindagi se lambi hai, Baat ratjagay ki hai, Rastay mein kesay ho, Baat raat jagay ki hai. Takhliya ki baaton mein guftugoo izafi hai, Pyar karnay walon ko ik nigah kafi hai, Ho sakay to sunn jao ek din akelay mein, Tum sey kya kahein janan is qadar jhameelay mein!!
|
| Register Now to create your personal Website | Disclaimer Personal Pages by : www.whereincity.com |