| angelicdeep |
| My Home >> Fun & Info >> My Poems |
Aaj phir panchhi sa udne ko dil chahta hai..
Sawan ki in mast baharo mai tumse milne ko dil chahta hai Par jamane se abb tak hamne jana hai ki Kayamat se gujra har ik ka fasana hai Fir bhi ye ghatae dekh betab ye dil diwana hai Tumhari khushbu ka ahsas dilati ye mand byaar Badalte mausam ne lo yaad dila hi diya Pal pal badlta wo tumhara mijaj Ye mand sparsh byar ke dil ko dadka jate hai Aur koyalo ke geet tumhare ankahe shabdo se Kaano mai utarte se jate hai Sanse fir tham jati hai, dil ko maigho sa tarsati hai Najre jhook kar udth jati hai, har boondh mai tumko paati hai Tumhara andeka chehra aankho kai samne har chhan maine paya hai Tapti dopahri mai tumhare ahsaso ki hi tau chhaya hai Par gar mil na sako tum tau koi gam nahi Gujre jindagi teri chhah mai papihe si pyas mai ye bhi tau kuchh kam nahi
|
| Register Now to create your personal Website | Disclaimer Personal Pages by : www.whereincity.com |