| Welcome To Sumona's Gratification of Wirldwind |
| My Home >> Fun & Info >> Shayari |
ab to dede zehar yun mujhko satata kiyon hai
doston ki tarha tu mujhko aajmata kiyon hai.... loot ke le gyaa jo aankhon se neendain meri wo saksh mere khaabon mein aata kiyon hai..... gyaa hai khake kasam wo laut ke na aane ki har roz chirag umeedon ke tu jalata kiyon hai...... jaanta hai tu ki lehrain inhe phir se gira dengi bar bar tu sahil pe gharonde banata kiyon hai..... kyaa khabar inhe dekh ke aa jaye unko yakee apne aansuon ko tu unse chhupata kiyon hai..... pathar hain ye sirf zakham dena jaante hain zakham-e-jigar apna tu inko dikhata kiyon hai..... wo bewafa hai ye saare jahaan ko hai maloom phir uski wafa ke kisse sabko sunata kiyon hai..... ajnabi hai 'veer' khushi ke sehar mein dosto dekh ke mujhe koi door se haath hilata kiyon hai
|
| Register Now to create your personal Website | Disclaimer Personal Pages by : www.whereincity.com |