| Rajesh Kumar Kaundal |
| My Home >> Fun & Info >> Shayari |
Badal yaha jami par rahte hai
Kadmo ke nisha rasto per behte hai Ghul jati hai sanso me phijao ki kushboo Tan badan sab sile sile rahte hai Badal yaha jami par rahte hai Barsa jata hai bunde, koi bin bataye yuhi Tarsa jata hai kabhi koi dur reh kar yuhi Aate rahte hai jate rahte hai khago ki tarha Yaha aksar yehi silsile rahte hai Badal yaha jami par rahte hai Kon sa rang kis rang me mil jaye kya pata Kab kon sa mosam kaha se aye kya pata aksar ye pehchane nahi jate in ankho se Rang or mosam yaha ghule mile rahte hai Badal yaha jamin par rahte hai
|
| Register Now to create your personal Website | Disclaimer Personal Pages by : www.whereincity.com |