| FEEL THE DIFFERENCE |
| My Home >> Fun & Info >> Shayari |
Palkon pe aansuon ko sajaya na ja saka
usko bhi Dil ka haal bataya na ja saka zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera magar ek zakham bhi usko dikhaya na ja saka jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood aankhon mein aansuon ko chupaya na ja saka kuch log zindagi mein aise bhi aaye hain jinko kisi bhi lamhe bhulaya na ja saka bas is khayaal se ke kahin usko dukh na ho humse to haal-e-ghum bhi sunaya na ja saka wo muskura raha tha mere ru-ba-ru magar chehre ka rang usse chupaya na ja saka tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye magar jo faasla aane ka tha mitaya na ja saka
|
| Register Now to create your personal Website | Disclaimer Personal Pages by : www.whereincity.com |