| Mome ke Patthar - Patthar Ke Insaan |
| My Home >> Fun & Info >> My Poems |
Tinka Tinka Bikhar gaya
Mera Wajood, Tukda tukda Hawa me udd gaya. Mrityu ki tarah, shashwat tha, Tumhari yaado ke ek jhoke se, Jamin se Ukhad gaya. Tinka Tinka Bikhar gaya. Maine chaha kya tha? Tumne chaha kya tha? kya waqt ko pata nahi tha? Jo wo itna beraham ho gaya. tinaka tinka bikhar gaya. tumhari safaak ankhon ko, hotho se chhune ki aarju thi, ek baar alingan ki chahat thi, tumne kaha tha abhi waqt nahi aaya khud ko tumhari chah me mitana chahata tha. tumse bichhadane ke khayal se dar lagata tha. us pal tumne kaha tha Waqt aane do sari duniya chhod kar, sari bandishe tod kar, main aa jaungi, tumhari bahon me. tumhari bate kya jhuthi ho gayi? wo waqt kyu na aaya? tinka tinka bikhar gaya.
|
| Register Now to create your personal Website | Disclaimer Personal Pages by : www.whereincity.com |