Apni aankho ke samundar mein utar jaane de
Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
Aye mere dost main samjunga tujhe bhi apna
Pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de
Aag duniya ki lagayee hui bujh jayegi
Koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de
Zakhm kitne teri chahat se mile hain mujhko
Sochta hoon ki kahoon tujhse magar jaane de
Apni aankho ke samundar mein utar jaane de
Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
| अपनी आंखो |
|
अपनी आंखो के समुंद मे उतर जाने दे
तेरा मुजरिम हूं मुझे डूब के मर जाने दे
ए मेरे दोस्त मै समझाऊ तुझे भी अपना
पहले माज़ी का कोए ज़ख्म तो भर जाने दे
आग दुनियाँ की लगायी हुई बुझ जायेगी
कोई आंसू मेरे दामन पे बिखर जाने दे
ज़ख्म कितने तेरी चाहत से मिले है मुझको
सोचता हूं की कहूं तुझसे मगर जाने दे
अपनी आंखो के समुंद्र मे उतर जाने दे
तेरा मुजरिम हूं मुझे डूब के मर जाने दे |
Teri akho ka pani sarab ho ja ta
Tera sabab mere ghar ka gulab ho jata
Tune khud hi nahi chaha mahbub mere
Varna Pyaar ASHU ka kamyab ho jata
Ashu Alwarya
Posted By : Ashu Alwarya