Din Beet Jate HaiBy : Manish D. Patel (Views : 1593)Din Beet Jate Hai Suhani Yaad De Kar
Baate Reh Jaati Hai Kahani Bankar
Par Dost To Hamesha Dil Ke Karib Rahenge
Kabhi Muskaan Bankar To Kabhi Aankho Ka Paani Bankar
Dost Tu Bahot Yaad AayaBy : Ashique-E-Bimar (Views : 1222)Aaj Rootha hua ek dost bohot yaad aaya,
Achha guzra hua kuch waqt bohot yaad aaya,
Meri aankho ke har ek ashk pe rone wala,
Aaj jab aankh yeh royee tu bohot yaad aaya,
Jo mere dard ko seene mein chhupa leta tha,
Aaj jab dard hua mujh ko bohot yaad aaya,
Jo meri aankh mein kajal ki tarha rehta tha,
Aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya,
Jo mere dil ke tha qareeb faqat us ko hi,
Aaj jab dil ne bulaya tu bohot yaad aaya.
Aap Lakh Bhula Ke Dekh LoBy : Manish D. Patel (Views : 1271)Aap Lakh Bhula Ke Dekh Lo
Hum Dilse Yaad Aayenge
Honge Aapke Bade Chahne Wale
Hum Sabse Badhkar Chahenge
Aap Paani Pee Pee Ke Thak Jaaoge
Hum Hichkiyan Ban Ban Ke Aayenge
Hasi Ne Labo ParBy : Manish D. Patel (Views : 1208)Hasi Ne Labo Par Thirakna Chhod Diya
Khwaabo Ne Palko Pe Aana Chhod Diya
Nahi Aati Ab To Yeh Hichkiya Bhi
Shaayad Aapne Hume Yaad Karna Chhod Diya
Kuch Khoye BinaBy : Manish D. Patel (Views : 727)Kuchh Khoye Bina Humne Paya Hai
Kuchh Maange Bina Humne Mila Hai
Naaz Hai Hume Apni Taqdir Pe
Jisne Hume Aap Jaise Dost Se Milaya Hai
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17