Shouq-e-azziyatBy : vibha (Views : 758)Hum shouq-e-azziyat hai,
Warnaa iss zamaane mein,
Teri yaadein bhoolane ko,
Bahut samaan rakhaa hai.
NafratBy : Kulvendarsing Gaurav (Views : 3185)Koi achha lage to usse pyar mat karna,
Uske liye neendein bekaar mat karna,
Do din to aayenge khushi se milne,
Teesre din kahenge mera intezar mat karna.
Aansu Jo Beh RaheyBy : Vivek Chhabra (Views : 3019)Aansu jo beh rahey hein inhein behney do,
Yeh keh rahey hain dil ki baat, kehney do.
Bahut bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom,
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do.
Mila to kya mila tumhein chahney kay baad,
Bas dukh hi seh rahein hain,hamein sehney do.
Tum nay to keh dala sab haal-e-dil apna,
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do.
Mar gaye auroon kay liye ham,
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do.
Sanam-e-BewafaBy : IBU (Views : 1830)Tu kya Jaane Aasman Ko Chune Ki Tammana Kya hoti hai,
Tu kya Jaane Tujh Se Pyaar Karne ki sazaa kya hoti hai,
Arey Tu kiya Jaane samander Ki gehrayion mein kya hota hai,
Jo Mehsos hota hai wo dard mujhe tere pyaar mein Mila hai,
Arey Pyaar mein tere o sanam-e-bewafa Naa Jaane, Kitno ka lahoo bhi baha hai.
Kabhi MatBy : Piyush Handa (Views : 3017)Jugnuon ko kaid kar ke muskuraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka ghar jalaya na karo,
Dil pe ab itne sitam bhi dhaya na karo,
Jo yaad nahi karna to tum yaad bhi aaya na karo.
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16