Ekbar ParBy : Ripudaman Saini (Views : 825)Zara si baat ka itna malal karte ho,
Shikaate bhi vahi hain, jaha mohabbat hain
Vaada bhi karke aaye na meri kabar par
Hamne to jaan de di, Isi ekbar par
AkelaBy : Ripudaman Saini (Views : 937)anjaan ek akele ka
naam agar mit jaye to kya
akela akela hota hai
nishan agar mit jaye to kya
pise hue akele ka
aaram agar mit jaye to kya
akela to toota hai hi
armaan agar mit jaye to kya
Ye Khalish!By : Ripudaman Saini (Views : 679)Yeh Khalish kar degi deewaanaa mujhe
Jaan kar bhi kyun na pehchaanaa mujhe
Ashq ka dariyaa bahaate dekh kar
De gayaa woh khaali paimaanaa mujhe
Aasamaan itne dikhaaye kis liye
Khaak jaise thaa jo thukaraanaa mujhe
Aashiqi ke zikr main ek ajanabi
Kah gayaa meraa hi afsaanaa mujhe
Woh naa aye hain kabhi naa aayenge
Band kar do aur behalaanaa mujhe
Armaan!By : Ripudaman Saini (Views : 802)Jaan ek akele kay naam agar mit jaye to kyaa
akela akela hota hai
Nishan agar mit jaye to kya
Pise hue akele kaa
Ram agar mit jaye to kya
Akela to toota hai hi
Armaan agar mit jaye to kya
Baha Main..By : Ripudaman Saini (Views : 636)Baha main milte hain,khiza main bichadte hain,
Surkh pattoen ki tarhaen ye zameer se girte hain.
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 19 20 21 22 23 24 25 26 27 28