PainBy : Ajit Hari Sahu (Views : 1094)Wakt tho hume bhula chuka hai,
Mukkardar bhi na bhula de,
Pyaar hum isliye nahi karte,
darte hai koi phir se na rulade.
Na jane yeh aakhen kyun udaas rehti hai,
Na jane inhe kiski talaash rehti hai,
Ye janker bhi ki who kismet mein nahi hai,
Fir bhi unhe pane ki aas raheti hai.
Bahut kareeb se dekha hai iss bewafaa zamane ko,
Ab dil nahi karta kisi se dil lagane ko.
Tadap ke dekho kisi ki chahat main
to pata chale ke intezar kya hota hai,
yu hi mil jaye koi bina chahe
to kaise pata chale ke pyaar kya hoto hai.
Pathar ki pooja kar baithe hum naadan the,
Teri aadat teri fitrat se aanjaan the,
Waqt ne humko khilona bana diya yaaro,
Varna hum bhi mehfil ki jaan the.
Sitam ko humne berukhi samjha,
Pyaar ko humne bandage samjha,
Tum chahe humein jo bhi samjho,
Humne to tuhme apnaa samjha.
Malaal Hota HaiBy : Ajit Hari Sahu (Views : 619)Khud sey aksar poochta hun do ghari saath diya to kaisa,
Woh dukh woh ghum diya mujh ko jo mein ney kabhi saha nahin.
Aankh kabhi meri pur-nam na thi,
Abb Dil weeran weeran sa ho gaya.
Khud per bay had malaal hota hai,
Jis ka saath do ghari ka tha,
Kyun usay sadioun tak apnaney ka,
Pagal dil ney irada kiya tha.
Thokar lagi to samjha,
Koi kisi ka hamesha nahin hota.
Achaa Tha....By : Ajit Hari Sahu (Views : 655)Mohabbat k yeh silsilay gar chaltay to acha tha
Yun bicharna tha gar mil k, na miltay to acha tha
Jo tootni thi mohabbat kache dhagey ki manind
Yeh chahatoun k qaflay na chaltay to aacha tha
Mager phir bhi Dil-e-nadan,gareeban chak honey per
Dostoun k yeh tanay na miltay to acha tha
Woh parday ki chilman sey muskura ker dekhna
Mujhey unn k yeh irshad na miltay to acha tha
Unhein ehsaas ho gaya k mein ghareeb hun lekin
Woh meray gher k nazaray na kertay to acha tha
Hota yehi behtar k hum anjaan hi rehtay
Haey tujh sey yun wastey na pertay to acha tha
Takleef Meet Gayi...By : Ajit Hari Sahu (Views : 585)Takleef meet gayi magar ehsaas reh gaya, khush hu kuch to mere pass reh gaya
Ehsaas bhool jata hoon magar bhool ta nahin, woh lamhe jo janaza tha bahar ka
Main to bujhta huwa shaamma hoon apni cherag ka
Zindgii hain aur dil yeh nadan hain, kya safar hain aur kya samaan hain
Mere gham ko bhi samajhkar dekhie muskuradena bahat ahsaan hain
Jal Chukay HeinBy : Ajit Hari Sahu (Views : 502)Kunwari khuahishoun mein Jal chukay hein
Woh ghar jo barishoun mein Jal chukay hein
Kahin lambay safar per hongay ya phir
Parinday ghousloun mein jal chukay hein
Bachay they hasratoun k phool jitnay
Woh bhi raastoun mein jal chukay hein
Woh jin peroun pey haryali buhat thi
Suhaney musamoun mein jal chukay ehin
Fana honey ko hein andheray
Deay sab aanganoun mein jal chukay hein
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32