Unhein Hui Nafrat Sare Jahan SeBy : vibha (Views : 868)unhein nafrat huii sare jahan se,
nayii duniya koi laye kahan se,
tumhari baat lagti hai mujhe teer,
nigaah ka kaam lete ho zubaan se,
nazar par kyun chadha kar mujhko patka,
giraya kyun zameen par ,asmaan se,
unhein jiss baat se thi sakht nafrat,
wahi baat nikali zabaan se.
Tu Nahi Nahi Kaha KareBy : vibha (Views : 1044)tune tou kaha tha ki ishq dhoung hai,
tujhe ishq ho khuda kare,
koi tujhko uss se juda kare,
tere honth hansna bhool jaye,
teri ankh ,poori-num raha kare,
tujhe hijr lage woh ghadi,
tu her pal milan ki dua kare,
tu usse dekh kar ro pade,
woh nazar jhuka ke chala kare,
phir tujhe ishq par ho yakeen,
tu usse tasbiyon mein padha kare,
phir main kahu ke ishq tou dhoung hai,
tu nahi nahi kaha kare,
tu nahi nahi kaha kare.
Andaja Na ThaBy : Anand Kumar Tiwari (Views : 1423)apse door jane ka irada bhi na tha
sada saath rehne ka vada bhi na tha
aap bhul jaoge hame ye to jante the
par itni jaldi bhul jaoge ye andaja na tha
Chod GayaBy : Naghina (Views : 1087)Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak,
Jaate hue rota woh mujhe chhod gaya tha.
Armaano ki Duniya ke anmol se sapne,
Pal main woh mere saamne sab tod gaya tha.
Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi,
Besabab Duniya se meri rukh mod gaya tha.
Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi,
Hamraah Saare ghamon se rishta mera jod gaya tha.
Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche,
Yahan kis ke sahare pe mujhe chhod gaya tha.
Love U StillBy : Naghina (Views : 1357)Kisi aur ki bahon mein rehkar
woh humse wafa ki baat karte hain
yeh kaisi chahat hai yaaro
woh bewafa hain yeh jaankar bhi
hum unhi se mohabbat karte hain
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11