Har baat me tabassum har baat me ada
in koshisho se humko behla na paaoge
aazmaaya hai hamesha aur aazmaao ge
ek roz par haqeeqat tum jaan jaaoge
rokenge raasta mere behte huye aansu
kar ke nazar andaaz inhe jaa na paaoge
Pucchenge us se hum bhi ek din
kya hum se duur hoke hume bhool paaoge?
| क्या हमे भूल पाओगे? |
|
हर बात मे तबस्सुम हर बात मे अदा
इन कोशिशो से हमको बहला ना पाओगे
आज़माया है हमेशा और आज़माओगे
एक रोज़ पर हक़ीक़त तुम जाओगे
रोकेंग़े रास्ता मेरे बहते हुये आंसू
करके नज़र अंदाज़ इन्हे जा ना पाओगे
पुछेंगे उससे हम भी एक दिन
क्या हम से दुर होके हमे भूल पाओगे?
|
Written By : vibha
bhool janey ki ichaa hotee agar,
ansuon se uss rahtey ko
naa dhoyaa kartey hum,
jinsey chandni ke guzarney ki
umeed abhi bhi jinda hai.
Posted By : Pradeep Kumar Gupta