Woh Kitna Pyara HaiBy : Uzma Afreen (Views : 667)kya kahun mujhe wo kitna pyara hai
jaise chamakta chanda asman par
jaise jilmilata taara hai
mujhe wo itna pyar hai
nidhal kar dein jab samandar ki lehren
lage mujh ko wo kinara hai
muje wo itna pyara hai
toot jati hai har ek aas
to wohi lagta akhri sahara hai
mujhe wo itna pyara hai
jab b laye koi gham meri ankh mei ansu
phir mere liye ek wohi khushi ka sahara hai
wo mujhe itna pyara hai
sari kainat se bhi pyar hai
apni jaan se zyada pyara hai
Masoom-e-mohabbatBy : Uzma Afreen (Views : 556)Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai,
kagaz ki haveli hai, baarish ka zamana hai
kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai,
aawaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai
Us paar utarne ki umeed bahut kam hai,
kashti bhi purani hai, tufaan ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
ek shakhs ko aankhon se haal-e-dil sunana hai
Bholi si adaa koi fir ishq ki zid par hai,
fir aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai
MohabbatBy : Uzma Afreen (Views : 996)Ikrar mein shabdo ki ehmiyat nahi hoti
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti
Aankhen bayaan kar deti hai dil ki dastaan
Mohabbat lafzo ki mohtaj nahi hoti
WOH WAQTBy : Uzma Afreen (Views : 833)WOH WAQAT WOH LAMHE AJEEB HONGE
DUNIYA MEIN HUM KHUSH NASIB HONGE
DOOR SE JAB ITNA YAAD KARTE HAIN APKO
KYA HAL HOGA JAB AP HAMARE KAREEB HONGE
Jidhar Bhi Dekhtaa HoonBy : Sarfaraz amani (Views : 715)Jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai
main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai
tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine
meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai
ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein
zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai
asar karti yakeenan gar chhoo jaati unke dil ko lekin
afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai
maikade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam utar jaati hai
kabhi aake mere zakhmon se muqabla to kar
ae khushi tu moonh mod ke kidhar jaati hai
tujhe inhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unke ghar ko paas yahi ek rehguzar jaati hai
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10