Jaab Teri Yaad Se Ghafil Kabhi Ho JaungaBy : Sarfaraz amani (Views : 547)Jaab teri Yaad Se Ghafil Kabhi ho jaunga
Dekh Lena Main Zameen odh Ke So jaunga
Tere Pass Ake Hasunga Lekin
Jate jate Teri Palkon Ko Bhego jaunga
Ek Nigha-e-Karam Amaiz Zara Ho Jaye
Jitne Dhabbe Mere Daman Pe hain Dho jaunga
Hai yaqin, Ek Roz Wo Ayega Inshallah
Rote Rote Usi Dehliz Pe So jaunga
Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Ja SakaBy : Sarfaraz amani (Views : 474)Palkon pe aansuon ko sajaya na ja saka
usko bhi Dil ka haal bataya na ja saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera magar
ek zakham bhi usko dikhaya na ja saka
jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood
aankhon mein aansuon ko chupaya na ja saka
kuch log zindagi mein aise bhi aaye hain
jinko kisi bhi lamhe bhulaya na ja saka
bas is khayaal se ke kahin usko dukh na ho
humse to haal-e-ghum bhi sunaya na ja saka
wo muskura raha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang usse chupaya na ja saka
tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye magar
jo faasla aane ka tha mitaya na ja saka
Dard Kya Hota Hai Bataenge Kisi RozBy : Sarfaraz amani (Views : 592)Dard kya hota hai bataenge kisi roz
Kamaal ki ghazal tumko sunaenge kisi roz
Thi unki zid ke main jaon unko manane
mujhko ye weham tha wo bulaenge kisi roz
Us rab ki qasam maine to socha bhi nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhaenge kisi roz
Har roz aaine se yehi poochta hoon main
Kya rukhsar pe tabassum bhi sajaenge kisi roz
Urde do in parindon ko Azaad fiza mein
Gar honge Tumhare to palat aenge kisi roz
Aapke Naam Ka PhoolBy : Mohit Bhatt (Views : 1132)Dil mein khila hai aapke naam ka phool
Dil se kahi hona jaye koi bhool
Dil ka hai aapke liye alag sa usool
Ki aapki khushi ke aage hai sab kuch kabool
Akela Hai DilBy : Mohit Bhatt (Views : 956)Akela hai dil aur use aati hai kisi ki yaadein
Har pal hum sochte hai unki kahi har baatein
Palko pe saji hai unse har ek mulakaatein
Kyuki unse hi toh milti thi hume sabse hasin saugaatien
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14