Gaye Dino Ki BaateinBy : vibha (Views : 223)Gaye Dino Ki Azeez Baatein,
Nigar Subhein Gulaab Raatein,
Bisat-E-Dil Bhi Ajeeb Shay Hai,
Hazar Jeetein Hazar Maatein,
Judaiyon Ki Hawayein,
Lamhon Ki Khushk Mitti Uda Rahi Hai,
Gayi Ruton Ka Malal Kab Tak,
Chalo Ke Shakhein To Tootti Hai,
Chalo Ke Qabron Pe Khoon Rone Se,
Apni Hi Aankhein Phootti Hai.
Sukoon Sa PayaBy : Navin C. Chaturvedi (Views : 357)Utha ke dekha to raasta paya
Dost ko raah par khada paya
Mit gayi sab Shikayate dil ki
Dil se dildar ko jo chipataya
Kal jo boya tha beej koshish ka
Aaj uska hi phal badha paya
Dost insaaniyat ke pedon ko
Sakhta toophaan bhi naa jhukaa paya
Vo ujala bhi kya ujala hai
Jo andheron ko na mita paya
Is amiron ke mulk ko yaaro
Bhukhmari se tadapta paya
Baat karta hai vo saleeke se
Uski neeyat mein khot sa paya
Vot le kar vo ho gaya gayab
Hamne khud ko thaga thaga paaya
Aisa sun ke vo poochhta hai phir
Sher likh kar ke hamne kya paya
Kashmakash thi ki chhodti hi na thi
Sher likh kar sukoon sa paya
IntezaarBy : Pushpendra Kumar (Views : 384)khoob chha raha hai samaa bekari ka
na tumhe kuchh kaam na hume kuchh kaam
zindagi bhatak rahi hai in bekari ke andhero mein
par na koi raasta nazar aata hai na hi koi manzil
dur dur tak bas kaala ganghor andhera hi andhera
andhere ka aalam kuchh is tarah chhaya hai ke apni phechaan tak gum hoti nazaar aati hai
roshni ki dur dur tak umeed nazaar nahin aati hai
Namaaz-e-ishqBy : Ritcha Rao (Views : 171)Tanhayi mein tujhe yaad karke roye
Teri yaadon mein jaage teri yaadon mein soye
Ajab hai silsila ye namaaz-e-ishq ka
Ke ada karke bhi roye aur qaza karke bhi roye
Afsana Mere Dil KaBy : Ritcha Rao (Views : 163)Raahe hayaat me kuch haasil to ho safar ka
Sahraaye dil ko mere ab gulistaan banade
Afsana mere dil ka pesh-e-nazar hai tere
Chaahe khamosh hoja ya daastan banade
[ Previous Page ][ Next Page ]
Pages : 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10
| Most Viewed Miscellaneous shayari |