Maazi Ki YaadBy : vibha (Views : 513)maazi ki yaad se tadap uthta hai dil
aansoo meri aankhon se ab jaate hi nahi
intzaar ke lamhe kuchh is tarah se guzre hai
hum raaah mein khade hai aur sadiyan beet gayi
durr reh kar bhi woh bahut paas mere rehta hai
jab itna hai paas kyun sada-e-dil nahi sunnta hai
sada-e-dil bhi sunta hai woh kuchh iss tarah se
milna chahe bhi woh mujhse to nahi milta hai
Kya Pyaar Issi Ko Kehte Hain?By : Awais (Views : 936)Kyun pyaar us par hi aata hai
Jo mil kar bhi naa mil pata hai
Kaise yeh usse batayein hum
Tujh bin rah na paayein hum
Kyun baar baar woh satata hai
Kuwaabon mein aakar rulata hai
Bhulanaa us ko chahein hum
Par kis tarah bhulaayein hum
Woh mann mein har dum rahta hai
Dharkan ki tarah dharkta hai
Hain issi ehsaas se zindaa hum
Hain ek-duje ke dil o jaan hum
Ek duje ke dil mein rahte hain
Kya pyaar issi ko kehte hain?
Kahan Ansoon Ki Yeh Sogat HogiBy : Awais (Views : 615)kahan ansoon ki yeh sogat hogi
naye log honge nayi baat hogi
main har haal mein muskurata rahunga
tumhari muhabat agar saath hogi
chirgon ko ankhon mein mehfooz rakhna
badi door tak raat hi raat hogi
pareshan hain hum bhi pareshan ho tum bhi
chalo mehkade mein wahin baat hogi
chirgon ki lo se sitaron ki zo tak
tumhe main milunga jahaan raat hogi
jahan wadiyon mein naye phool aaye
humari tumhari mulqat hogi
sadaon ko alfaaz milne na payein
na badal ghirenge na barsat hogi
musafir hain hum bhi muafir ho tum bhi
kisi more par phir mulaqat hogi
Mein Khud Se Larta HoonBy : Awais (Views : 722)Her rabt ek naye qarb say guzerta hoon
Girr k sambhalta hoon sambhal k girta hoon
Woh khush naseeb hain jo apni maut marte hain
yehaan yeh haal hai naa jeeta hoon na marta hoon
yeh bhi manta hoon k mein uss se pyar karta hoon
kyu mujh mein hai mehroomi jo kisi mein nahin
kyu mein doosro ki khushiyo say jalta hoon
kyu mein karke afsos nakaami per
kyu qismat ka kaha kehkay haat malta hoon
yeh kyu hi kyu hai meri zindagi per hawi
aakhir mein kyu iss kyu ko kyu samajta hoon
mein jeena chahta hoon doosro ki tarah
mein jaanta hoon k mein jee bhi sakta hoon
gharz iss baat se hai kamzori mere dil ki
dil ki baat dil se karte huway darta hoon
yeh ajab baat nahin maya kahay louchay ki tarah
ehsaasay kamtari say aaj bhi mein larta hoon
Tere Nishaan Dhoondta HogaBy : Ritcha Rao (Views : 595)woh gulshan to thandi fuharon mein bheegta hoga,
ek banjara tere intzaar mein pathron ko pujta hoga,
kabhi gujra tha is raaste se tu to bhool chuka hoga,
par woh der tak aasman mein tere nishaan dhoondta hoga.
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15