Tumhari Anjuman Se Uth Ke Diwane Kahaan JaateBy : Sarfaraz amani (Views : 2000)Tumhari anjuman se uth ke diwane kahaan jaate
jo vabasta hue tumse vo afsane kahaan jaate
nikal kar dair-o-kaba se agar milta na maikhana
to thukraye hue insaan khuda jaane kahaan jaate
tumhari berukhi ne laaj rakh li baadakhane ki
tum aankhon se pila dete to paimane kahaan jaate
chalo achha hua kaam aa gai divaangi apni
varna hum zamaane bhar ko samjhane kahaan jaate
agar apna muqaddar gham se begana kahin hota
to phir apne-paraye humse pehchaane kahaan jaate
Ye Maujza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye MujheBy : Sarfaraz amani (Views : 1469)Ye Maujza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe
Ke Sang Tujhpe gire, aur zakhm aye mujhe
Main apne paaon tale rondta hoon saye ko
badan mera hi sahi, dopahar na bhaye mujhe
Main ghar se teri tamanna pehan ke jab nikloon
Baarhana shehar mein koi nazar na aye mujhe
Wo hi to sabse zyada hai nuqta chi mera
Jo muskara ke hamesha gale lagaye mujhe
Wo mera dost hai sare jahan ko hai maloom
Dagha kare woh kisi se to sharm aye mujhe
Wo meharbaan hai to iqrar kyun nahi karta
Woh bad-gumaan hai to sau baar azmaye mujhe
Barang-e-Aud milegi ise meri khushbo
Wo jab bhi chahe bade shauq se jalaye mujhe
Main apni zaat mein nilaam ho raha hoon kabse
Gham-e-hayat se keh do khareed laye mujhe
Shabnam Nahin Kehta Use Shola Nahin KehtaBy : Sarfaraz amani (Views : 1366)shabnam nahin kehta use shola nahin kehta
wo koi bhi ho, main use tujhsa nahin kehta
iss darr se ke tu mujhko shafayaab na kar de
qatil tujhe kehta hun, maseeha nahi kehta
darya to hai wo, jiss se kinare chalak utthein
behte hue paani ko main darya nahin kehta
gehrai jo di tune mere zakhm e jigar ko
main itna samundar ko bhi gehra nahi kehta
kis kis ki tamanna mein karoon pyaar ko taqseem
har shaqs ko main jaan e tamanna nahin kehta
karta hoon main, apne gunaahon pe bahut naaz
inssan hoon main khud ko farishta nahi kehta
Chehre Ke Upar Chehra LagaanaBy : Debashish (Views : 1265)chehre ke upar chehra lagana
nahi aata hai humein yu khud ko hasana
bus chal rahein hain apni hi dhun mein
chahe koi bane apna ya fir bane begaana
Nazre Uthane ParBy : Anil Rajput (Views : 1548)Chaand ko dekhkar khwaahish to sabko hoti hai
us khoobsurat chaand ko pane ki
Jab nahi nibha sakte the to kyaa jarurat thi
yeh jhoothi shan dikhane ki
Ab ye mat kehna ki mukkadar sath chhod gaya hamara
Are chand ka didar to tab hota hai
jab himmat ho dil me nazare uthane ki
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13