Zaruri To NahiNBy : Richa (Views : 987)Umar jalwoN main basar ho yeh zaruri to nahiN
Har shab-e-ghum ki sehar ho yeh zaruri to nahiN
Chashm-e-saqi se piyo ya lab-e-saagar se piyo
Bekhudi aathoN pehar ho yeh zaruri to nahiN
Nind to dard ke bistar pe bhi aajati hai
Un ki aaghosh maiN hi sar ho yeh zaruri to nahiN
Shekh karta to hai masjid main khuda ko sajde
Us ke sajdoN maiN asar ho yeh zaruri to nahiN
Sab ki nazroN main ho saaqi yeh zaruri hai magar
Sab pe saaqi ki nazar ho yeh zaruri to nahiN
GulaabBy : Richa (Views : 948)Sab chaman se gulaab le aaye
Husan wale shabaab le aaye
Sekh sahab ne maang li zannat
Hum waha se sharaab le aaye.
Khudaa Na HoBy : Richa (Views : 828)yaa toh peeney de mujhey baith ker masjid main sharaab
yaa woh jagaah bataa jahaan khudaa na ho.
IntzaarBy : Richa (Views : 1323)Mein Jaam uthane ke khatir
shaam ka bhi etbaar nahi karta,
Tanha peena meri aadat nahi e dost
per peene ke khaatir mein,
kisi ka intzaar bhi nahi karta".
Wafa Ka NaamBy : Jyoti Gupta (Views : 770)Wafa ka naam na lo yaron,
Wafa dil ko dukahati hai.
Wafa ka naam lete hi,
Hume ek bewafa ki yaad Aati hai
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13