PIYAR OR WAFA By : Pari (Views : 1271)kash us patthar par phool khila karte
hum jate wahan or tod liya karte
utha kar balo mein laga liya karte
ya haar bana kar gale mein saja liya karte
jab shaam hoti to kitabo mein sambhal liya karte
raat hote hi apne takiye ke niche chhupa liya karte
dhire se apne khawabo mein basa liya karte
humare pyar ki bundon se khud ko jaga liya karte
phir se humare aangan mein khel aya karte
humare pyar ki kahani sab ko sunaya karte
hum ko chhod kar phir kabhi na jaya karte
Khubsurat NazaareBy : Angel (Views : 621)kya Khubsurat Ye nazaare hai
kya khubsurat ye sama hai
Dekho duniya ko meri nazorn se
yahan to bas har jagah bas khuda hai
Kya soch kar banayi hogi usne duniya
har daal par jhulne ko panchi khada hai
Barish Mein Jama PaniBy : Pushkar (Views : 552)Barish mein jama pani
Barish mein jama pani
Yaad aayi bachpan ki kahani
Kaagaz ki naav bana kar
navik banjayenge
Bina naw mein baithe
Hum naw chalayenge
Fitrath HumariBy : Nadia Brohi (Views : 576)Mazak udana aadat thi us ki
bardasht na karna fitrat thi humari
aaina rakhte the hum bhi
kyun ke be-lagam ghodon ko
lagam dena fitrat thi humari
Fitrat Thi HumariBy : Nadia Brohi (Views : 1005)Mazak udana aadat thi us ki
bardasht karna fitrat thi humari
aaina rakhte the hum bhi
kyun ke be-lagam ghodon ko
lagam dena fitrat thi humari
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10