Shayari Karne Ke LiyeBy : MD.Abdul Raheem (Views : 1627)Shayari karne ke liye kya chahiye
Na koi mushaira na hi koi mehfil chahiye
Sher ko sun kar jo dard mehsoos kar sake
Sirf ek aisa dil chahiye
Baithe Hain Desh Se Dur !By : Ms.Balwinder Kaur (Views : 1331)Baithe hain desh se dur,
Par lagta nahi hai,
Khol ke whereincity ko,
India dur nahi hai,
Likhi hain sab ne,
Apne dil ki baat,
Lo aaj humne bhi,
Keh dali apne dil ke baat.
Kya Pata Tha Gussa Unhain Khoob Ho Jayega By : Gurvaran Singh (Views : 1545)Kis ko khabar thi yeh aftaab guroor ho jayega
Uska chiraag-e-dil mujh pay ayoob ho jayega
Hum nay unki silwaton ko bhi lehron ka darzaa diya
Kya pata tha gussa unhein khoob ho jayega
Naam Apna Bhi Hota Aala Muqaam KaBy : Gurvaran Singh (Views : 849)Gar hota woh saqi apni aankhon ke jaam ka
Gar milta na saqi sharab-e-haraam ka
Kiya ittefaaqat ne mujh ko barbaad warna
Naam apna bhi hota aala muqaam ka
Tumne Bhi Rangoli Sajayi HogiBy : Gurvaran Singh (Views : 700)Tumne Bhi Rangoli Sajayi Hogi
Matwaali Diwaali Manayi Hogi
Bujha Hua Chirag Dekh kar
Humari Yaad to Aayi Hogi
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 1 2 3 4 5 6 7 8 9