Diwali 4By : Arti Agarwal (Views : 805)Iss naye saal ho aapki life mein khushiyon ka mela, kabhi na aaye koi bhi jhamela! Happy Diwali and Prosperous New Year!
Diwali 3By : Arti Agarwal (Views : 874)Diye ki roshni, patakhon ka shor, nariyal ka phor, laddoo ka bhog. Have a yummy, delightful, safe Diwali!
Diwali 2By : Arti Agarwal (Views : 800)May Lakshmi empower you with blessings of name, fame, health, wealth, happiness, humanity, bhakti and shakti this Diwali!
DiwaliBy : Arti Agarwal (Views : 951)We wish you a Happy Diwali! Eat sweets without counting calories, enjoy the festive season without the noise or pollution!
Eid Mubarak To All!By : Shaikh Sabir (Views : 1272)Hilaal-e-eid
Hilaal-e-eid! naveed-e-tarab hai deed teree
teree namud khushi ka pyaam laati hai
bujhee nigahoon mein kirnoon kee jot peh irtee hai
malool roohoon kee afsurdigy mitatee hai
rawaiten hain kay is din her aik dil kee kali
wafoor-e-nashaa-e-rahat say jhoom jaatee hai
buland-o-past kay har tafriqay mitaatay huay
her ik mahal her ik ghar mein eid aatee hai
Hilaal-e-eid! magar mein nay her baras dekha
kay teree zo bhee nasheboon mein muskuraatee naheen
rawaitoon peh mujhey bhee yaqeen to hai lekin
yeh khus aqeedgee kyaa keejay raas aatee nahin
khuda kay ghar mein barabar sahee ameer-o-ghareeb
yeh rasm mulk-e-khuda mein riwaaj paatee nahin
taloo hota raha too her aik saal magar
meray watan kee jabeen phir bhee jagmagaatee nahin
Hilaal-e-eid! tafawat kee aatsheen aandhee
jhulas rahee hai meray des main khushee kay chaman
kaheen to jism pay resham kay dher bar-e-nazar
kaheen badan pay hein uryaanee'yaan hee peraahan
kaheen to kuj'kulhee wajha-e-nakhwat-o-tamkeen
kaheen falakat-o-aflaas zindgee kay kafan
kahaan wo din kay ghareeb'ul'dyaar rotay thay
yeh haal ho to watan mein sitam hai eid-e-watan
Hilaal-e-eid! tujhay ghamzadoon say kyaa nisbet
keh khawjgaan-e-jahaan hee teray chaheetay hain
jo teray naam kay saghar fiza mein lehraa kar
teree kamaan kee qosoon ko mor detay hain
fughaan! kay tujh ko bhee in bekasoon say rabt nahin
jo apnay dil kay safeenay lahu mein khetay hain
teree zia bhee hai goya katee patang jisay
buland baam khala hee mein bot letay hain
Hilaal-e-eid! tarab za sahee yeh shaam magar
chiraagh-e-shoq jalatay huay laraztay hain
diloon peh kal jo qayaamat guzarnay walee hai
ab us kaa dehaan bhee latay huay laraztay hain
hum ehl-e-gham tujhay khush aamdeed kaisay kahen
jo apnay dukh bhee sunatay huay laraztay hain
agarchay tujh pay nigaahen jamee huee hain magar
duaa ko haath uthathay huay laraztay hain
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 1 2 3 4 5 6 7 8 9