BetiyaanBy : NEAL... (Views : 1177)maa ke kaleje ka tukda hain
baap ke aangan ki shobha hain
dilon ka armaan hain
jeevan ka imthihaan hain
bachpan mein khoob hasati hain betiyaan
lekin doli mein baithkar rualti hain betiyaan
ye paraya dhan nahi, acche karmon ka fal hai
kismat waale hain wo jinki kismat hain betiyaan.
RISHTE NIBHANABy : Sarfaraj Ahmad (Views : 1502)HUM PHOOL KI TARAH HASNA JANTE HAIN,
HUM HANS KAR GUM CHHUPAANA JAANTE HAIN,
LOG MILKAR RISHTE NIBHATE HAIN TO KYA HUA,
HUM BINA MILE RISHTE NIBHANA JAANTE HAIN.
AanchaalBy : NEAL... (Views : 892)mamta ke aanchal mein tujhko bithau
palkon ke jhoolon mein tujhko jhulau
tu hai humhare naino ki jyoti
tere pyaar se apna aangan mehkau
chalegi tu jis path par
uspar sada fool barsau
gamon ki parchhayi bhi
tujhko kabhi chhune na paaye
har muskilon se tujhe door kar jau
aisa tera hum dum ban jau
MaaBy : NEAL... (Views : 734)mujhe adna sa samjha tha zamane ki nighaon ne
mujhe pagal bana daala tha anjaani khataon ne
kaha tha jyotishi ne teri kismat mein hai ghum hi ghum
badal daala unko magar meri maa ki nighaon ne
talwaar se darr hai na muje khaar se koi
hardum mujhe bacha raha majhdaar hai koi
jab jab bhi maine MAA ko pukaara to aisa laga
sehla raha hai sir ko mere pyaar se koi
jhuka hai zindagi bhar pyaar maashuka ke kadmon mein
tu paise ki hawas mein jhuka raha nadaan ke kadmon mein
jahan ki saari doulat aur khushiyaan paayega jannat
kabhi to dekh jhukkar yaar apne maa ke kadmon mein
BetaBy : NEAL... (Views : 780)kis se kya shikayat karein,
jeevan hi kuchh adhura hai,
kehte ek-karte ek sabhi,
kaise kahe jeevan pura hai,
behan jawan ghar mein baithi,
bhai prem vivah rachata hai,
kya biti hogi mann par,
kya kabhi tu sochta hai,
gareeb maa-baap ghar par baithe,
soche beta humhara samajhdaar hai,
kya hoga unke vishwaas ka,
jab unko tune tukhraya hai,
aas ki naiyya dol rahi,
vishwaas ka khoon ho raha,
beta to sukh se rah saka par,
aansoon maa-baap ko pila raha.
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15