Ham Tho Mashroof . . .By : Zzzunil (Views : 511)Ham tho mashroof thhe apni tanhaiyo meh,
Muddathon baad kissi ne pukara hai,
Ek pal tho ham ruk kar sochne lage,
Kya yehi naam hamara hai !
Value Your RelationsBy : Rajneesh Batra (Views : 357)?Rishton Ko Mat Bana Ya Mita Khel Samajh Kar,
Rishte bana Toh Aakhri Dum Tak Unhe Nibha.?
Na Samjho Par Ye Haqiqat HeBy : Naghina (Views : 556)Na samjho par ye haqiqat hai
dil ke dariya me dubna hi padta hai
is qaid ki zamanat nahi hai
yahan par nishan bhi chodna padte hai
apne ko barbad bhi karna padta hai
ruswai bhi hoti he fir sare shaam
harzana bhi mohabbat ka bharna padta
Main Saahil PeyBy : Naghina (Views : 355)Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab, ibaarat, hawa ki tarah
Chand, boond, shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Khamiyon Se Bhi Pyaar Ho Jata HaiBy : Ashique-E-Bimar (Views : 406)Kisi na kisi pe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks apna ho jata hai,
Khoobiyon se nahi hoti mohabbat bhi sada,
Khamiyon se bhi kabhi pyaar ho jata hai...
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16