Mausam Ko Isharon Se Bula Kyun Nahin LeteBy : Sarfaraz amani (Views : 576)mausam ko isharon se bula kyun nahin lete
rutha hai agar vo to mana kyun nahin lete
deewana tumhara koi ghair nahin hai
machla bhi to sine se laga kyun nahin lete
khat likh ke kabhi aur kabhi khat ko jalakar
tanhai ko rangeen bana kyuun nahin lete
tum jaag rahe ho mujhko achchha nahin lagta
chupke se meri neend chura kyun nahin lete
Vo Behisaab Jo Pi Ke Kal Sharab AayaBy : Sarfaraz amani (Views : 243)vo behisaab jo pi ke kal sharab aaya
agarche mast tha main par mujhe hijaab aaya
idhar khayaal mere dil mein zulf ka guzra
udhar vo khata hua dil mein pech-o-taab aaya
khayaal kiska samaya hai dida-o-dil mein
na din ko chain mujhe aur na shab ko Khwaab aaya
Aa Bhi Jao Ki Zindagi Kam Hai By : Sarfaraz amani (Views : 219)aa bhi jao ki zindagi kam hai
tum nahin ho to har khushi kam hai
vada kar ke ye kaun aaya nahin
shehar mein aaj roshni kam hai
jaane kya ho gaya hai mausam ko
dhoop zyada hai chaandni kam hai
aaina dekh kar khayaal aaya
aaj kal un ki dosti kam hai
tere dam se hi main mukammal hun
bin tere meri zindagi kam hai
Deewane Khat Likha Nahi KarteBy : Usman Ali Raja (Views : 264)use maine hi likha tha
ke lehje baraf ho jain to pigla nahi karttay
parinde darr ke ud jayein to phir louta nahi karte
use maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayad kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan kabi barish nahi lata
use maine hi likha tha
ke sheesha toot jaye to kabi phir jud nahi pata
jo raste se bhatak jaye woh wapis mud nahi pata
use kehna adhura khat use maine hi likha tha
use kehna ke deewane mukkamal khat likha nahi karte
Dil Ki Lagi Ko Aur Vo Bhadka Rahe Hain AajBy : Sarfaraz amani (Views : 330)dil ki lagi ko aur vo bhadka rahe hain aaj
khud hi khud bahaar bane jaa rahe hain aaj
jaise ke ho raha hai aftaab-e-naaz
kuchh aisi shaan se vo chale aa rahe hain aaj
thukra ke iltija ko paa-e-gurur se
armaanon kaa vo khoon kiye ja rahe hain aaj
vo pyaar ki fizayein vo rangin sohbatein
manzar vo saare shauq ke yaad aa rahe hain aaj
yaron gila karein bhi to kis baat ka karein
apne kiye ki aap saza pa rahe hain aaj
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12