Khayaal-e-yaarBy : Smruti (Views : 1172)Hum the khayaale yaar thaa
Bas aur kuch na thaa
Ek ujadaa huaa dayaar thaa
Bas aur kuch na thaa
Andaaj gunehgaar thaa
bas aur kuch na tha
Aawaargi pe waar thaa
Bas aur kuch na thaa
Rishta tutne ki kagaar par khadaa thaa
Phir bhi dil kisi aahat ka talbgaar thaa
bas aur kuch na thaa
Nam PalkeBy : Rocker (Views : 1190)ASHKON KO HUMNE KAYI BAAR ROKA
PHIR BHI NA JANE KYON ANKHE DHOKA DE GAYI
BHAROSA TO THA HAME APNE AAP PAR MAGAR
UNKA ZIKR AATE HI NAA JANE KYON PALKE NAM HO GAYI
Har Dil Me Dard Chupa Hota HaiBy : Akshay (Views : 887)har dil me dard chupa hota hai
bayan karne ka andaaz juda hota hai
kuch log aansuo me dard ko baha dete hai
aur kisi ka dard hassi me chhupa hota hai
Sharab Ko Tanha DekhaBy : Akshay (Views : 629)gum mila iss kadar ki ghabra ke pee gaye
thodhi mili khushi mila ke pee gaye
hum nahi the iss kadar peene ke aadi
sharab ko tanha dekha to taras kha ke pee gaye
Duniya Walo Ne HameBy : Akshay (Views : 1021)samjha na koi dil ki baat ko
dard duniya ne bin samjhe hi de diya
seh gaye jo hum dard ko chupke se
to duniya walo ne hame pathar dil keh diya
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18