Wo Yaron Ki MehfilBy : Sarfaraz amani (Views : 281)Wo yaron ki mehfil, wo muskurate pal
Dil se juda hai apna bita hua Kal
Kabhi zindagi guzarti thi Waqt bitane mein
Aaj waqt guzar jata hai chand kagaz ke note kamane mein
Gham Nahi WahanBy : Sarfaraz amani (Views : 250)Gham nahi wahan, jahan ho fasana tera
Khushiya dhundti rahe aashiyana tera
Wo waqt hi na aaye jab tu udas ho
Ye duniya bhula na sake muskurana tera
Bheegi Palkon ParBy : sylvia Sharma (Views : 576)bheegi palkon par naam tumhara hai
beech bhawar kashti badi door kinara hai
bujhne lage diye tej hawaon me
ab raha na dum meri sadao me
maut saamne hai kya khoob nazara hai
bheegi palkon par naam tumhara hai
Mere JazbaatBy : sylvia Sharma (Views : 436)wo samjhe ya na samjhe mere jazbaat ko
mujhe to maanana padega unki har baat ko
hum to chale jayenge is duniya se
magar ansu bahayenge wo har raat ko
Tujhse Pyar Kitna HaiBy : Parveen (Views : 831)mat dekh koi shaks gunehgar kitna hai
ye dekh tere sath wafadar kitna hai
mat soch use kuch logo se pyar hai
ye dekh use tujhse pyar kitna hai
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10