Tumhara SparshBy : Ajit Hari Sahu (Views : 1413)tumhara pehla woh sparsh
saanson main meri halchal macha gaya
jhanka jo tumhari aankhon main
khayal koi dil dhadka gaya
tumhara woh haath thaam kar
meri khairiyat poochna
meri aankhon se needein uda gaya
tumhara pehla woh sparsh
mujh par tumhara haq jatla gaya
dekha jo itne kareeb se tumhein
jaise khwaab koi saamne aa gaya
tumhare us sparsh ko
mera din raat sehlana
kitne hi man main armaan jagaa gaya
Tu Paas Nahi TuBy : Ajit Hari Sahu (Views : 1720)tu paas nahi tu kya,
teri batein tu hain,
tera sath nahi tu kya,
teri yadein tu hain....
mohabbat karna koi jurm nahi,
agar kijae asol se,
khuda ko bhi mohabbat thi,
apne rasol se....
Jis sham mere lab per tera naam na aye,
khuda kere aesi sham na aye,
Aai jane wafa ye mumkin hi nahi,
Afsana likhu aur tera naam na aye
Likhta HunBy : Ajit Hari Sahu (Views : 1371)Jab bhi mein koi kalam likhta hun
Sab sey pehlay ussay salam likhta hun
Uss k chehray ko Kali kahoun
Uss ki aankhoun ko jam likhta hun
Gulaboun ki malka ussay samajh ker
Mein khushboo ko uss ka ghulam likhta hun
Khud pey naa likhoun to bhi ussay dost likhoun
Uss per Ghazal her sham likhta hun
Uss ki banai hui Zindagi ko
Khud per thehra hua ek ilzam likhta hun
MuskaanBy : Ajit Hari Sahu (Views : 1533)Hasi Phoolon ko aati hai,
Jab aap muskuratey ho,
Humari duniya badal jati hai,
Jab aap muskuratey ho,
Aapki muskurahat ke aage bhalaa,
kya chand ki rounak,
Huzur khud chand bhi sharmaataa hai,
Jab aap muskuratey ho.
Kabhi Na Kabhi, Kahi Na KahiBy : Ajit Hari Sahu (Views : 1446)kabhi na kabhi, kahi na kahi
har dil ko hota hai pyar
par naseeb walo ko hi
milte hai app jaise yaar
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 43 44 45 46 47 48 49 50 51 52