Woh Jiske Husn NeBy : Navin C. Chaturvedi (Views : 282)वो जिसके हुस्न ने, दीवाना दिल, अक्सर बना दिया
उसी के गम ने, इस दीवाने को, शायर बना दिया
मेहरबानियों का - मैं - जहान की, अब क्या हिसाब दूं
एक अच्छे भले इन्सान को, पत्थर बना दिया
जमाने के लिये, थे जान पे भी, खेल गये
जो उन्हीं की कब्र पे, लोगों ने, बादाघर दिया
चमन सपनों का, फरिश्तों ने जो, कुदरत को बख्शा था
चंद मगरूरों ने, उस चमन को, मुर्दाघर बना दिया
क्या खाक अपने काम आयेगा वो रहनुमा
जिसे दौलत ने अरमानों का सौदागर बना दिया
खुदा के वास्ते उस बज्म [मेहफिल] का न्यौता न दो मुझको
जिसे लोगों ने अपनी हवस का दफ्तर बना दिया
YE ZINDAGIBy : Sarfaraj Ahmad (Views : 353)YE ZINDAGI ITNI AJNABEE KYUN HAI,
KISI PAL KHUSHI TO DUSRE PAL NAMI KYUN HAI,
KHUSH HO JAUN MAIN KIS BAAT PAR,
KIS BAAT PAR GUM MEIN SIMAT JAUN,
NA JANE MUJHE ITNI BEKASI KYUN HAI,
BANATA HUN PAANI PAR NISHAN BAR-BAR,
YE LAKEEREN BANKAR MIT JAATI KYUN HAI,
KOI LAMHA THAMNE KI KHWAHISH TO HAI,
PAR YE GHADI HAMESHA CHALTI KYUN HAI,
PARCHHAIYON KE PEECHHE BHAGTE HAIN KADAM,
PHIR SOCHTE HAIN YE PARCHHAIYAN BANTI KYUN HAI,
SAB KUCHH TO HAI PAS PHIR KAMI LAGTI KYUN HAI,
JISKE LIYE CHALE HUM TANHA-TANHA,
AAJ WO MANZIL ITNI UDAAS SI KYUN HAI,
EK PAL TO LAGTA HAI MIL GAYA SAB KUCHH MUJHE,
DOOSRE HI PAL LAGTA HAI EK TALASH SI KYUN HAI,
CHAHAT TO HAI MUJHE IS ZINDAGI SE BAHUT,
PHIR NA JAANE KUCHH SHIKAYAT SI KYUN HAI.
WAQT NAHIBy : Sarfaraj Ahmad (Views : 938)HAR KHUSHI HAI LOGON KE DAMAN MEIN
PAR EK HANSI KE LIYE WAQT NAHI
DIN RAAT DAUDTI DUNIYA MEIN
ZINDAGI KE LIYE HI WAQT NAHI
MAA KI LOREE KA EHSAAS TO HAI
PAR MAA KO MAA KEHNE KA WAQT NAHI
SAARE RISHTON KO TO HUM MAAR CHUKE
AB UNHE DAFNANE KA BHI WAQT NAHI
SAARE NAAM MOBILE MEIN HAIN
PAR DOSTI KE LIYE WAQT NAHI
GAIRON KI KYA BAAT KAREIN
JAB APNO KE LIYE HI WAQT NAHI
AANKHON ME HAI NEEND BADEE
PAR SONE KA WAQT NAHI
DIL HAI GAMON SE BHARA HUA
PAR RONE KA BHI WAQT NAHI
PAISON KI DAUD ME AISE DAUDE
KI THAKNE KA BHI WAQT NAHI
PARAYE EHSASON KI KYA KADAR KAREIN
JAB APANE SAPNO KE LIYE HI WAQT NAHI
TU HI BATA AE ZINDAGI
ISS ZINDAGI KA KYA HOGA
KI HAR PAL MARNE WALON KO
JEENE KE LIYE BHI WAQT NAHI
HAR SAFAR NAYA HOGABy : Sarfaraj Ahmad (Views : 506)TOOFAN KI KAMI NAHIN JEEVAN MEIN
LADTE HUYE SAFAR KARNA HOGA
JO MILENGE ZAKHM SAFAR KE RAHON MEIN
UNHE HI ZINDAGI KA TAZURBA KEHNA HOGA
LAKH ZAKHM KHANE PAR BHI
HAR ZAKHM NAYA HOGA
TAZURBA KITNA HI KYUN NA HO
HAR SAFAR NAYA HOGA
HUM GUZAR JAYENGEBy : Rahul (Views : 572)HUM ROZ NASHE ME HOTE HAI AUR
SHAM GUZAR JATI HAI
EK DIN AISA AAYEGA KI
SHAM NASHE ME HOGI AUR
HUM GUZAR JAYENGE
[ Previous Page ] [ Next Page ]
Pages : 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12